JO GHAR SE DOOR HOTIE HEIN
BOHOUT MAJBOOR HOTIE HEIN
KABHI BAGHON MEIN SOTIE HEIN
KABHI CHUP CHUP K ROTIE HEIN
GHARON KO YAD KARTIE HEIN
TO PHIR FARYAD KARTIE HEIN
MAGAR JO BAY SAHARA HON
GHARON SE BAY KINARA HON
INHEIN GHAR KOON DAITA HAI
YEH KHATRA KOON LAITA HAI
BADI MUSHKIL SE EK KAMRAH
JAHAN KOOI NA HO REHTA
NAGER SE PAR MILTA HAI
BOHOUT BEKAR MILTA HAI
TO PHIR DO TEEN HUM JAISE
MILLA LAITAI HAIN SAB PAYSAI
AUR APPAS MIAN YEH KEHTAI HAIN
KEH MIL JUL KER HI REHTAI HAIN
KOI KHANA BANAIE GA
KOI JHAROO LAGAI GA
KOI DHOYE GA SAB KAPRIA
TO REH LAIN GE BARIE SUKH SE
MEGER GERMI BAHREE RATEIN
TAPISH ALOUD SOUGATEIN
AUR OUPER SE AJJEB KAMRAH
GHUTTEN OUR HABS KA PEHRA
THAKEN SE CHOOR HOTAIN HAIN
SUKOON SE DOOR HOTAIN HAIN
BOHOUT GEE CHAHTA HAI TAB
KEA MAAN KO BHAIJ DE YA RAB
JO APNI GOED MAIN LA KER
HAMAIN THANDI HAWA DAI
SULA DAI NEEND KUCH AYSIE
KIA TOTE PHIR NA IK PAL BHE
MAGER KUCH BHE NAHEN HOTA
TO KER LATAIN HAIN SAMJHOTA
KOI DIL MAIN BILAKTA HAI
KOI PEHRON SULAGTA HAI
JEB APNA KAM KER KE HUM
PELETTE HAIN TO ANKHAIN NUM
MAKAN VERAN MILTA HAI
BOHOUT BE JAN MILTA HAI
KHUSHI MAADOOM REHTI HAI
FAZA MAGMOOM REHTI HAI
BARIE RANGOOR KYION NA HON
BARIE MAJBOOR KYION NA HON
AWAIL MAIN MAHENE KE
SAB APNE KHOON PASENE KE
JO PAISE JOR LAITE HAIN
GHARON KO BHAIEJ DETEN HAIN
OUR APNE KHAT MAIN LIKHTE HAIN
HUM APNA DEHAN REKHTAIN HAIN
BARE KHUSH BAKHT GHARIAN HAIN
YAHAN KHUSHIAN HE KHUSHAIN HAIN
Marvellous poem written by one of my colleague.......a treat for those living away from their homes....:)
Sunday, July 23, 2006
Subscribe to:
Posts (Atom)